Story Of Chidiya And Govind


Govind ek machhuaara hai, uske paas ek nauka hai jisse vo machchhaliya pakadata hai aur apne pariwaar ka gujaara chalata hai. Nauka bahot purani thi aur usme darare padna suru ho gayi tha. Dheere dheere darare badhne lagi aur nauka me un dararo se pani ghusne laga. Ab ye naav nadi ya samundra me le jaane layak nahi rahi. Govind ke paas dusri naav kharidane ki baat to dur is naav ko thik karane ke paise bhi nahi the. Ab vo berojgaar ho chuka tha. Apne pariwaar ka kharcha udhane ke paise nahi the. Us ki is dayaniy halat ke bare me ek chidiya jaanti thi jo paas ke ek ped par apne ghosle me rahti thi. Chidiya ne char ande bhi diye the . Chidiya ne Govind ki madad karne kaa faisla kiya aur saat samundar paar se ghaas ko ikatatha karna suru kiya. Ye ghaas chipchipi hoti hai aur sukhne par dararo ko bhar sakti hai, lekin aaspaas kahi nahi milti. Ghaas ko ikatatha karne ke Chidiyaa liye din-raat mahnat ki . Apni chhoti si choch me vo jyada ghaas nahi la pati phir bhi usne paryaapt matra me ghaas ikatatha kar li. Itni si ghaas ke liye use hajaaro mil kaa safar karna pada. Uske baad us ghaas ke tinko ko dararo me bharna suru kiya aur kai dino ki  mehnat ke baad vo darare bhar gayi. Ek din Govind apni naav ke paas baitha to usne dekha ki darare apne aap bhar gayi hai, aur vo bahot khus hua. Usne agle din se kaam suru karne ka faisla kiya. Chidiya bhi bahot khus hui ki uski vajah se kisi ko fayda hua. Usi din raat ke waqt ek toofan aaya aur vo ped gir gaya jis par chidiya rahti thi aur ghosla seedha Govind ki naav par gira aur lekin ande surakshit the. Chidiya ne apna ghosla vahi rahne diya ye soch kar ki usne  Govind ki bahot madad ki hai ab Govind uske ando ko nukshaan nahi pahochayega balki unhe sambhaal kar rakhega. Subah jab Govind naav ke paas  pahucha to usne dekha ki uski naav me char ande hai vo bahot khus hua, jor jor se bhagawan ka sukriya ada karke un chaaro ando ko ghar le gaya aur oobal ke kha gaya. Ye dekh Chidiya bahot dukhi hui jiski usne madad ki vahi uske ando ko kha gaya.

Kya galat hai is kahaani me aur kaha galti hui. Galti chidiya se hui yaa Govind se?



Jawaab chahiye?
Galti Chidiya ki hai kyo ki usne apne ande Govind ke bharoshe chhode ye sochkar ke Govind ki usne bahot madad ki hai. Haa madad to ki thi magar Govind ko ye baat pata nahi thi, Govind koi Bhagawan to nahi hai.

Morale:- Help others but he must know that you helped him. Agar Govind ko pata hota ki Chidiya ne uski bahot madad ki hai to kya vo uske Ande khata?
Kisi ki madad kar jyada show off bhi nahi karna chahiye lekin use pata to hona chahiye ki aapne uski madad ki hai.
=========

Help Sparrows and Birds by feeding them


Go to Amazon for shopping

Bird houses.