Maine
ek video dekha tha jisme ek honey badger ko 4 shero ne gher liya tab vo vaha se
nikalne ki koshish karta hai par sher jaane nahi dete. Ek sher ne use kaantne
ki koshish ki to usne sher ki naak par kaant liya to sher ne chhod diya phir
dusre shero ne koshish ki to unke saath bhi vahi hua. Thodi der tak shero ne
use pakad ne ki koshish ki magar pakad nahi paye. Ab sher us par nahi vo shero
par attack karne laga. Sher pichhe hatne ki koshish karte to unke pichhe jaata.
Thodi der tak usne attack chalu rakha aur jab sher puri tarah se pichhe hat
gaye to vaha se nikal gaya. Honey badger haar nahi mante. Honey badger itne
ziddi aur himmat vale hote hai ki vo apne se bade janavaro se bhi lad lete hai
aur unhe bhagne ke liye majboor kar dete hai. 4 Shero ko uski himmat aur zidd
ke samne jukna pada. Ye kaha jaata hai ki koi anubhavi sher is janvar se panga
nahi leta kyoki unhe pata hota hai ki ye pichha nahi chhodte. Agar ab inka
comparison kare to aapko bata du ek honey badger ka weight 7-15 kilogram tak
hota hai aur ek sher ka 250-300 kilogram tak. Aur aise 4 sher ek saath ek 9 kg
ke honey badger ko nahi maar paye kyo? 4 sher chahe to 3ooo kilogram ke ek
haathi ko bhi maar sakte hai.
Morale:- Himmat aur zidd ke samne koi nahi tik sakta.
Lets connect this story with the Story of Fighter Shakti…….
Click here for some Pics of Honey Badger