Story Of Lakkadhara



Ek lakkadhaara roz lakdiya kaat kar apne seth ko deta. Har mahine seth use 2000 rupaye deta tha. Vo apne seth ke saath pichhle paanch saal se kaam kar raha tha , par seth ne kabhi uska pagaar nahi badhaya. Usne bhi kabhi nahi kaha. Ek din seth ne dusre lakadhare ko bhi kaam par rakh liya. Do mahine me seth ne us naye lakkadhare ka pagaar badha diya. Aur agle do mahino me dobara badha diya. Lekin us purane vale ka nahi badhaya. Gusse me aakar vo seth ke paas gaya aur kaha me 5 saalo se aapke saath kaam kar raha hu phir bhi mera pagaar kabhi nahi badhaya aur uska do baar badha diya. To seth ne kaha vo jyada lakdiya laata hai isliye badhaya. Yeh sunkar usne kaha agar me jyada lakdiya laau to mera pagaar bhi badha doge. To seth ne kaha haa bilkul badha dunga. 
Ab vo lakkadhaara din raat mehnat karne laga. Jyada mehnat karne se use fayda to hua par vo us naye lakkadhare jitni lakdiya nahi kaat pata. Ek din usne naye lakkad hare ka pichha kiya aur dekha ki vo kaise kaam karta hai. Usne dekha ki vo ghar se 7:00 baje nikalata hai , ek ped kaatne ke baad aaraam karta hai aur thodi der ke baad vapas kaam suru kar deta. Ghar bhi jaldi chala jaata hai. Yeh dekhkar vo uske paas gaya aur kaha tum itna dheere dheere kaam karte ho, ek ped katne ke baad aaram se baithte ho lekin me to bilkul aaram nahi karta, din raat mahnat karta hu, subah tumse pahle kaam suru kar deta hu aur der raat tak kaam karta hu phir bhi mujse jyada lakdiya kaise kaat lete ho. Yeh sun kar usne kaha ki tumne mujhe aaram karte hue to dekha par ye nahi dekha ki ek ped kaantne ke baad main 2 minute tak apni kulhadi ki dhaar tej karta hu. Aur usne pooncha tumne aakhri baar kulhadi ki dhaar kab tej ki thi.........................................
 
Morale : Mehnat karne se fayda hota hai is baat me do mat nahi ho sakte lekin kaam ko kaise behtar tarike se kiya jaa sake us par jyada dhyan dena chahiye. 
Mehnat ke saath saath Kulhadi ki dhaar bhi tej karo. Aap jis bhi field me ho par apna kaam behtar tarike se karne ke liye factors (vajah) ko pahchaano aur unki dhaar tej karo.
 
Jaise Naye Lakkadhare Aur Ravi ne kiya…………….