Honey Badger Vs Rabbit


Honey Badger ek tarah ke jungali janwar hai jo Kale rang ke hote hai. Ye chhote janwar kabhi haar nahi mante. Maine ek video dekha tha jisme ek Honey badger khargosh ka sikaar karne ke liye uske pichhe daudna suru karta hai, khargosh dekh leta hai aur bhagana suru kar deta hai. Khargosh ki speed badger ke mukabale bahot jyada hoti hai. Isliye Khargosh kafi dur nikal gaya, aur kai kilometre tak daudta raha par honey badger ne pichha nahi chhoda. Daudte daudte khargosh thakne laga jisse uski speed kam hone lagi. Dheere dheere honey badger aur khargosh ke bich ka distance kam hone lagaa. Khargosh thak gaya tha ab aur nahi daud sakta tha aur vo vahi ruk gaya par honey badger nahi ruka. Khargosh ne haar maan li par honey badger ne nahi maani khargosh ko marna pada aur badger ko sikaar mila.

Morale:- Haar nahi manoge to jeet jaoge. Dheere Dheere hi sahi magar daudte raho haar mat mano manjil karib hai.

Let's connect this story with the Story of Edison............ 
==========