Chidiya Vs Jungle

Ek ped par Chidiya ka ghosla tha jaha Chidiya ne char ande diye the. Chidiya bahot hi bahadur aur himmati thi, apne ando ki raksha ke liye vo baaz se bhi lad chuki thi aur use bhagne par majboor kar diya tha. Ek Bandar bhi tha jo hamesha un ando ko khane ke chakkar me rahta tha lekin us bahadur chidiya se darta tha. Ek din jab Chidiya khana dhundane thodi der ke liye apne ando se dur gayi to uske ande kisi ne chura liye. Chidiya ko laga ande Bandar le gaya hoga vo Bandar ke paas gayi aur poocha mere ande kaha hai.
Bandar ne kaha mere paas nahi hai Chidiya ne do tin baar poocha par bandar ne nahi bataya. Chidiya ne Bandar par hamla kar diya use apni choch se kat kar ud jaati. Bandar ne chidiya ko pakadne ki kafi koshish ki par nahi pakad paya. Bandar thak gaya aur usne haar maan li. Bandar ne Chidiya ko bataya ande mere paas nahi par mene saap ko us ped ke paas dekha tha.
Chidiya saap ke paas gayi aur ando ke bare me puchha saap ne koi jawaab nahi diya, to chidiya us par bhi tut padi saap ko buri tarah jakhmi kar diya tab jake saap ne kaha:-
Me ando tak nahi pahoch paaya kyoki vo ped par the aur me us ped par nahi chadh paya lekin mene ek billi ko us ped par dekha tha.




Chidiya Billi ke paas gayi aur ando ke bare me poocha billi ne Chidiya ko pakadane ki koshish ki par Chidiyaa ud gayi aur us pe hawai hamle suru kar diye. Thodi der tak dono ladte rahe , akhir me Billi thak gayi aur usne bhi haar maan li.Chidiyaa ne ando ke bare me poocha to usne kaha ki:-
Me ande khane gayi thi lekin jaise hi me ped par chadi Baaz un ando ko utha kar le gaya.
Chidiyaa Baaz ke paas gayi aur kaha mere ande mujhee vapas dedo :-
Baaz janta tha ki chidiyaa bahot hi ziddi hai usse vo ek baar haar bhi chukka tha isliye usne sab sahi bata diya usne kaha:-
Me ando ko utha kar to gaya tha lekin raste me samundar ne mujhse chhin liye.
Chidiya samundar ke paas gayi aur kaha mere ande vapas dedo:-

Samundar ne kaha nahi dunga.
Chidiyaa ne kaha tum mere ando kaa kya karoge. Vo tumhare kisi kaam ke nahi. Me tumse prarthna karti hu mujhe mere ande dedo.
Samundar nahi maana. 
Chidiya ne kaha me tumhe aakhri chetavani deti hu mere ande mujhe lautado.
Samundar ne kaha yadi na du to.
Chidiya ne kaha me tumhe pee jaungi.
Samundar hasne laga.
Jungle ke saare jaanwar Samundar aur Chidiyaa ki ladai dekhne aa gaye.
Chidiyaa hawa me udkar samundar ka pani apni choch me bhar leti aur vapas hawa me ud jaati.

Samundar hasne lagaa. 
Chidiyaa pani peeti rahi.
Samundar ne unchi unchi lahero se Chidiya ko pakadana chaha par nahi pakad paaya.
Dheere dheere chidiyaa ka pet phulane laga. Aankhe laal ho gayi.
Chidiya ab ud bhi nahi paar rahi thi ,vo thak chuki thi.
Lekin usne pani peena bandh nahi kiya, pani ko choch me bharati aur hawa me ud jaati aur samudar se kahti mere ande mujhe vapas dedo.
Samundar nahi maana.
Ye dekh sabhi jaanwaro ne samundar se kaha ki tum Chidiya ko uske ande lautado
Lekin Samundar ne kisi ki nahi suni vo ahamkar se bhara hua tha aur sabko dikhana chahata tha ki usse takatwar koi nahi.  Chidiya ki aankhe bahar aa rahi thi, pet phool chuka tha aur vo behos hone hi vali thi ki Varun Dev vaha aa pahuche. Varundev ne Samundar ko chetavani di aur kaha vo Chidiyaa ke ande lauta de nahi to use sukha denge
Samundar ne turant ande lauta diye aur Chidiya se maafi bhi maang li.
Varundev ne Chidiya se kaha tumhari himmat aur bahaduri ko dekh mujhe tumhari madad karne aana pada. 
Morale :- Himmat-e-mardan madad-e-khuda. 
=========